Thursday, December 10, 2015

नीतिश को ग्रैंड अलायन्स के लिए सुझाव


  • ग्रैंड अलायन्स को एक राष्ट्रिय स्वरुप देने का प्रयास हो। 
  • सदस्य पार्टी यो को सभी तह पर एक पद एक उम्मेदवार पर जाना होगा। 
  • सदस्य पार्टी के दिल्ली में जितने सांसद हैं सब एक जगह आएंगे, वो निर्वाचक मंडल हुवा। उसमें ५०% से ज्यादा मत जो बटोरे वो ग्रैंड अलायन्स का राष्ट्रिय अध्यक्ष हुवा। 
  • वही फोर्मुला राज्य स्तर पर भी लागु हो। 
  • लेकिन ये तो संगठन वाली बात हुई। उससे ज्यादा महत्वपुर्ण बात है विज़न। Anti-BJP is not a vision. 
  • ५ स: सुशासन, शिक्षा, स्वास्थ्य, संरचना, सुलभता। 
  • लक्ष्य है डबल डिजिट ग्रोथ रेट। 

युपी में ऐसा नहीं हो सकता? मायावती और अखिलेश ५०-५० सीट डिस्ट्रीब्यूशन करें २०१७ में। जो ज्यादा सीट जितेगा वो मुख मंत्री। ये बात मायावती को बोलो तो वो कहेंगी आप अपनी हवा मिठाई घी के साथ खाओ। 

Wednesday, December 09, 2015

Bipolar Politics In India?

As Nitish Kumar Meets Assam Leader, Signs Of A Bihar-Like Formula



I have no idea what Nitish is upto, but a few days back I read he wants a Bihar repeat in Uttar Pradesh. And I was skeptical. Mayawati revolves in a world of her own. For the Nitish swearing in ceremony, her terse response was: "Jana jaroori hai kya?"

But Grand Alliance is a catchy name. It feels like a fresh start. The Third Front has been put to rest. The Federal Front never materialized, except in Mamata's brain.

Never underestimate a Bihari. Biharis are like Greeks. Ek samay ke superpower jab sirf India hi duniya tha. Modi and Nitish are the two most talented Indian politicians of their generation. Easily. Obvious baat hai. And Laloo is a powerhouse on his own. And Laloo's conviction, in a strange way, has turned him into a Nitish Hanuman, which probably would have been hard, perhaps impossible otherwise. Yane ke Laloo ko to koi pad lena nahin. Us sthiti mein political relevance hi bahut bara puraskar ho jata hai. Yane ke alag party hote bhi Laloo ke sare ke sare MP Nitish apna gin sakte hain. Bhagwan deta hai to chhappar far ke. Isi ko kahte hain.

To Bihar ke 40 MP ek nucleus ban jate hain. A national alternative can be imagined around that nucleus.

Pechinda baat ye hai ki Uttar Pradesh is galaxy mein hi nahin. Uska apna hi alag orbit hai. Kucchh planets hote hain, na is galaxy mein, na us galaxy mein. Wo between galaxies fenka jate hain. Andhere mein lattoo ki tarah golchakkar lagate rah jate hain.

Abhi desh ka rajniti na unipolar hai, na bipolar, na multi-polar. Desh ka rajniti abhi comet ki tarah hai. Sirf ek banda PM ke liye lada pichhle saal. Aur us ke pichhe ek lamba dhunwa sa hai koso tak.

To agar Grand Alliance Bihar se failte failte Assam pahunch jaye to badi baat hai. Laloo barishth neta ke rup mein sab jagah golchakkar lagate rahenge. Agar rashtriya star par hi ek Grand Alliance banti hai aur desh ke rajniti mein ek clean bi-polarization ho jati hai to wo desh ke liye, loktantr ke liye, double digit growth ke liye bahut achha hoga. PM bhi development man, Opposition Leader bhi development man ho jaye to sustained double digit growth shayad mil jaye desh ko.

Nitishism akhir hai kya? Nitish ne kabhi codify nahin kiya. Karna chahiye. Ki humne Bihar mein aise kiya. Wo dusre jagah bhi kiye jaa sakte hain. Usi tarah Laloo ko codify karna chahiye. Railway mein unhone jo kiya so kaise kiya. Kisi paschima textbook mein hi nahin hai. Laloo ke populism ("I am a man of the people!") ne western capitalism ko maat kar diya. And it is relevant to India. Jis desh mein ghans kam aadmi jyada ho, wahan people intensive economic activity ki sakht jaroorat hai shayad. Bagair katni chhantni kiye kaise logon ke marfat bumper profit karein. 

National level par Modi bahut aage hain. Indian economy ke fundamental level par itna bejod kaam ho raha hai, iska asar kuchh saal ke baad bade thos kism se padega.

Gelling the Grand Alliance at the national level is hard. Jaise Mayawati ko lo. Unhe to lagta hai BJP aur Congress ke baad hum hi to hain. To pahle unke charan sparsh karo tab koi alliance ki baat karo. Nahin to wo to mere to lagta hai chai pe bhi nahin bulayegi. Akhilesh kam nahin. Mulayam ko PM mano pahle, uske baad hi koi allaince balaince ki baat shuru ho sakti hai. Kahan na maine, kuchh planets galaxy ko hi chhod dete hain. Spin out ho jate hain. Aur Mulayam. Safal rajnitigya rahe hain. Dimag bhi shayad chalta ho. Lekin boli se to nahin lagta. Aur waise bhi wo ek apne hi kism ke Advani hain: way past retirement age. Lekin neta logon ko pata hi nahin chalta. Ghadi mein time kya hai, nabj mein daudahat banki hai bhi ki nahin. Log salam karte rahte hain. To lagta hai ek round aur dekh lete hain, rakha kya hai, log pyar de hi rahe hain.

Nitish ne Bihar mein vikas kar diya. Honestly bol raha hoon, maine kabhi kalpana bhi nahin kiya tha ki koi bhi sakhs Bihar mein vikas kar sakta hai. Like how? Where would you start? Lekin Bihar mein vikas se jyada kathin baat hai UP mein Mayawati aur Akhilesh ko ek jagah lana, usse bhi kathin unhe manana ki koi teesra neta banega. Unhe lagta hai wo hain Amrika, banki Bharat hai Fiji. Size to dekho.