Monday, December 28, 2015

Bajirao Mastani: English Subtitles: US Mainstream Release

बजराओ मस्तानी विक्की क्रिस्टीना बार्सिलोना

डबिंग करो तो मजा किरकिरा हो जाता है। हाँ, लेकिन इंग्लिश सबटाइटल दे दो तो मेरे को लगता है ये मूवी अमरिका के  जो मेनस्ट्रीम थिएटर हैं वहाँ जोरो से चलेगी। सुनते हैं १०० करोड़ पार कर चुकी मूवी। अमरिका में १०० मिलियन डॉलर पार करेगी। कर के तो देखो।



अमरिका का टेक रेवोलुशन सब श्रेय जाता है नेहरू को। वो तो अभी गूगल माइक्रोसॉफ्ट में उपर ही आ गए हैं। नहीं तो शुरू से ही भारतीय इंजीनियर ही सब काम कर रहे हैं। तो सॉफ्टवेयर इंजीनियर भेजा तो कमाई हुवी।

लगे हाथ अब शहर शहर योग गुरु भेजो। वैसे भारतीय डाक्टर पहले ही पहुंच गए हैं। प्रत्येक शहर में। लेकिन योग गुरु भेजो। बहुत बड़ा मार्केट हैं। लोकल योग गुरु उटपटांग कर देते हैं। मैं गया हुँ। योग को १००% स्ट्रेचिंग बना के प्रस्तुत करते हैं। तो मेरे को लगा नहीं यहाँ मार्केट है।

डाक्टर भेजा। सॉफ्टवेयर इंजीनियर भेजा। आग लगे हाथ योग गुरु भी भेजो।

उसको बाद बजिराओ मस्तानी इंग्लिश सबटाइटल में रिलीज़ करो। तब हिंदी सिखलाने वाले लैंग्वेज टीचर भी भेजना शुरू कर दो। बिहार इस मायने में आगे आ सकता है। शिक्षा का विरासत है बिहार में। लोग कहने लगेंगे सबटाइटल से काम नहीं चल रहा। हमें हिंदी सिखना है। तो सिखो। कौन रोक रहा है?

एक राजनीतिक एंगल भी है। ब्रिटेन को धक्का दे के भारत को उसका जगह लेना है। अमरिका और भारत।

Sunday, December 27, 2015

Opposition Ki Jaroorat



Opposition Ki Jaroorat

Bharat ke rajniti ko do cheej ki sakht jarrorat hai. Ek ki paanch sal mein sirf do deen chunav ho. Yani national, state aur local election sirf us do deen honge. Ravivar ko, chhutti ke din. Taki log booth par asani se jaa sake.

Ek wo, aur dusra desh ke rajniti ka bi-polarization. Mera Modi se man ub gaya wo main nahin kah raha. Actually, I am more excited about Modi now than I was about a year ago. Ek sal pahle to sirf promise tha, kam to kuchh dikha nahin tha. Ab to maine kaam bhi dekh liya. Bahut thos kam kar rahe hain. Lekin Modi ka bhavishy nirnay karne wala main kaun hota? Modi ko banaya bharat ki janata ne. Modi ko tikayega bharat ki janata. Main to us equation mein hun nahin.

Lekin desh ke rajniti ko polarization chahiye. Ek hai National Democratic Alliance. Aur us mein jarrorat se jyada alliance partner hain wasi baat nahin. Balki jitne chahiye satta mein tike rahne ke liye, usse kahin kam hain. Dusra pole hai Grand Alliance. Wo abhi Bihar mein shuru huwa hai. Usko national banana desh ke liye bahut jaroori hai.

Bijli nikalne ke liye koyala jab jalate ho, to kitne heat ka bijli banta hai aur kitna heat exhaust ke raste jaa ke waste ho jata hai? Percentage kya hai? Bigya jara enlighten karo. To wahi baat hai. 2014 ke chunav mein 30% BJP ko mat mila. Uske adhar pe akele usne bahumat le aaya. 20% Congress ko. Lekin uske adhar pe wo Opposition ka jagah bhi nahin bana payi. Yani ki wo exhaust mein chala gaya vote. Aur banki 50% to total waste. Yani ki abhi Bharat ke loktantr naam ka jo diesel engine hai, uska efficiency hai sirf 30%. Tees percent se bijli nikal raha hai, banki 70% waste mein jaa rahi hai.

Bipolarization ho jati hai, to NDA ka bhi size shayad badhega. To NDA aur GA. Tab efficiency almost 100% par pahunch jayegi. Yani ki 55% la ke koi sarkar banayega. Aur 45% ka opposition.

Lekin usko shayad 100% nahin kaha ja sakta. Vote kitne ne diye? 60% ne. To abhi efficiency 30% nahin hai, abhi 15% par hai. Bipolarization ke baad wo pahunch jayega 60% par. Yani ki 60% heat ka bijli niklega, banki gaya exhaust pipe se bahar.

To bipolarization BJP aur Modi ke liye bhi achhi baat hogi. A superior democracy will spring forth a superior economy. Aur Modi ka total focus hai economy.

Modi ka total focus hai economy. Wo unka strength bhi hai aur weakness bhi. Social issues par wo nadarad rahte hain. Bharat mein BJP aur America mein Republican Party kuchh milte julte hain. Pratyek desh mein ek political spectrum hota hai, extreme left se extreme right tak. Adhikansh log center mein hote hain. Sarkare adhiakansh waise log banate hain jinka bichar centrist ho. To Modi khud centrist hain. Lekin BJP ka jo tent hai, usmein center se le ke right se le ke far right se le ke kucch extreme right tatwa bhi hain. Modi khud na far right hain, na extreme right. Agar hote to main pasand nahin karta. Aur main bade gaur se dekh raha hoon. Hindu hone ka pride hai, aur hona bhi chahiye. Lekin auro ke prati ghrina nahin hai dil mein. Kamsekam mere direct observation mein abhi tak mere ko ek bhi waisa evidence nahin mila.

Lekin tent bada hai. Ek kah sakte ho aadmi kamjor hai. Apne hi tent ke logon ko thikane nahin laga sakta. Dusra perspective ye ho sakta hai ki ye aadmi kamjor nahin hai ki ye ek aise desh ka Pradhan Mantri hai jo duniya ka sabse bada loktantr hai. Bharat: loktantr ki janani bhumi hai. Loktantr British ne upahar nahin diya. Duniya ka pahla ganatantr Buddha ne sthapit kiya. Sanatani shaitano ne ujad ke fek diya, wo alag baat hai. Bandar. Monkey.

To loktantr mein kya hota hai ki jo galat bolta hai usko bhi bolne ka adhikar hota hai. Free speech. To ye to achhi baat hai ki desh ka pradhan mantri kisi ki bolti band nahin kar sakta. That is what we want.

To wahan par kami dikhi Opposition ki. Ki log jab galat bolte hain, to uske biruddh aap kyon nahin bolte? Wo to PM ka nahin Opposition ka kaam hai. Laloo aur Nitish ka kaam hai. National economy par top level ka kaam ho raha hai. Modi is a gift to India. Par social issues par space hai Opposition ke liye. BJP ke tent ke under aise log hain jinko democratic counter karne ki jaroorat hai. Kabhi love jihad, to kabhi ghar wapasi. Hote hote dadri. To us space mein Grand Alliance nirnayak role khel sakti hai.

Yani ki agar desh mein intolerance badha hai, jaisa ki kaha jata hai, to uski jimmedari Opposition ko leni padegi. Agar aap is tarah bikhre na hote to far right ke logon ki himmat patli ho jati. To aap is tarah jo bikhre pade hain, usse desh mein far right ko jaroorat se jyada jagah mil raha hai. The opposition is responsible.

Speech aur peaceful political action ----- loktantr mein ye allow hai. Shantipurvak aap sangathit ho sakte hain. Shantipurvak aap rajnitik karyakram kar sakte ho. Wo adhikar far right ko bhi hai, far left ko bhi, center left ko bhi.

Violence to na social issue hai, na political issue hai. Violence is and should be illegal, and the law should be strictly enforced. Murder ke biruddh to law hai. Hate crime ke biruddh law hai ki nahin? Nahin hai to banao. Law enforcement ko sirf din dahade murder hi nahin, domestic violence, caste violence, aur religious riots ko bhi tackle karna hoga. Us kabil banaya jana chahiye. Kaun kisko mar raha hai hame us se matlab nahin. Ham mardhar hone nahin denge. Hame sirf usse matlab hai. Law enforcement ka wo attitude hona chahiye. A riots-free India is possible. Tsunami/typhoon ke liye jis tarah early warning system hota hai, usi tarah desh bhar mein riots ke liye early warning system hone chahiye. Ki haan, yahan lag raha hai sthiti bigar ke riot ke taraf chali jayegi, to baat wahan tak pahunchne se pahle force ko wahan par pahunch jana hai. Jo karna hai so karna hai.

Law and order to first priority hai. Nitish ko log credit de dete hain. Ye kiya, wo kiya, Bihar mein bikas kiya. Are, unhone to sirf law and order take care kiya. Bikas to apne aap ho gayi. Pahle wo Sushasan Babu bane uske baad hi Bikashpurush banne ka mauka mila.

To desh bhar mein violence ko secular kism se tackle karna hai. Yani ki domestic violence ho ya caste violence ho ya phir religious violence: zero tolerance. Jaan aur dhan ki suraksha adhunik rajya (modern state) ka pratham aur sabse pramukh jimmewari hai. To wo capacity building ek pramukh rajnitik mudda hai. National, state aur local sab level par.

Grand Alliance ko ek national rup dena hoga. Aur social issues par bahut jyada space hai jo cover kiya ja sakta hai. Jaise ki Dalit liberation, wo to Mayawati ko hi karna hoga. Kaun karega? Bharat ka liberation to Gandhi aur Nehru aur Patel ko hi karna pada ki nahin? Ki koi Germany ya France se aa ke kar diya?

Ek democratic structure bana do to koi lafda nahin hota ki kaun neta banega, kya hoga. Vote kar do. Ho gaya nirnay.

Dalit liberation ka rasta Bharat liberation se fark nahin hai. Ki hum hain Harijan. Hamara naam Dalit nahin. Wo hamara abhi ka political status hai jise hum khatm karenge. Hamara apna ek alag dharm hai. Hum Rambhakt hain. Jis tarah Old Testament sirf Yahudi ka nahin Isai ka bhi, usi tarah Ved Puran Upanishad hamara bhi, lekin hamara pramukh granth hai Tulsidas ka Ramayana. Ramcharitmanas. Jis tarah Muslman ka apna alag dharm, Buddhist ka apna alag dharm, usi tarah Harijan ka bhi apna alag dharm. Ravana bhi Sanatani Shaitan, Valmiki bhi Sanatani Shaitan. Mandir toda Sanatani Shaitan ne, dosh de rahe Musalman ko. Harijan Muslim ko divide and rule.

Laoo, ya Nitish, ya Akhilesh, ya Mulayam, ya Modi koi aa ke liberate karne wala nahin. Liberation ko khud ka kaam hota hai.